اردو हिंदी
Mere ham-raqs sae ko bil-aKHir yunhi Dhalna tha | Shaahi Shayari
mere ham-raqs sae ko bil-aKHir yunhi Dhalna tha

Ghazal

Mere ham-raqs sae ko bil-aKHir yunhi Dhalna tha

Farah iqbal

;

mere ham-raqs sae ko bil-aKHir yunhi Dhalna tha
koi mausam nahin rukta so mausam ko badalna tha

taqaza maslahat ka tha hawa se dosti kar len
charaghon ko ujale tak yunhi har taur jalna tha

use to ye ijazat thi wo jab chahe palaT jae
safar mera to baqi tha mujhe to yunhi chalna tha

talatum mein baha kar jo meri hasti ko le jati
usi mauj-e-tamanna se mujhe pahle sambhalna tha

hamein bhi sabz rangat ka wo pairahan ata hota
hamari aastinon mein agar sanpon ko palna tha

hamesha apne kase mein duaon ki talab rakkhi
duaon ke wasile se bura har waqt Talna tha

bataya tha ki ye jauhar bahut nayab hai jaanan
use kho kar tumhein yunhi faqat hathon ko malna tha

shab-e-gham ki tawalat se na ghabrana 'farah' aaKHir
ye suraj Dhal bhi jae to ise phir se nikalna tha