mere ghubar-e-safar ka maal raushan hai
shafaq shafaq abhi naqsh-e-zawal raushan hai
sada-e-gumbad-e-tabir sun raha hun main
faza-e-KHwab mein kirnon ka jal raushan hai
wo ek fikriya lamha usi tarah hai abhi
tere jawab se mera sawal raushan hai
parind kyun na uDain hansi andheron ki
mere shajar ki abhi Dal Dal raushan hai
surur teri rifaqat ka kam nahin hota
tasawwuraat mein rang-e-visal raushan hai
na koi baat hai kahne ki aur na sunne ki
tumhaara mujh pe mera tum pe haal raushan hai
sawal rah badalne ka hai to tum badlo
meri dalil hai wazeh misal raushan hai
jise main waqt ke sahra mein phenk aaya hun
usi chaTan pe sadiyon ka haal raushan hai
diye jalata hua baDh raha hai dast-e-hawa
faza muhib hai lekin KHayal raushan hai
shikari apni jagah mutmain hain chup sadhe
parinde dekh rahe hain ki jal raushan hai
kisi andhere ko KHatir mein tum nahin lana
mera charagh ba-hadd-e-kamal raushan hai
ye ehtiyat-e-safar ka maqam hai 'nusrat'
yahan se wahshat-e-pa-e-ghazal raushan hai
Ghazal
Mere ghubar-e-safar ka maal raushan hai
Nusrat Gwaliari