mere ghar ki inTen chura le gaya wo
nahin jaanta hai ki kya le gaya wo
use kya zarurat thi wo jaanta hai
jo ghar mein paraya KHuda le gaya wo
sar-e-rah jis ne kiya qatl mera
sitam hai mera KHun-baha le gaya wo
mera rota bachcha bahalta tha jis se
wo lakDi ka hathi uTha le gaya wo
saKHawat ne us ko dhani kar diya hai
faqiron ki sachchi dua le gaya wo
use to zarurat thi chingariyon ki
hawaon mein shoale daba le gaya wo
wo kal aaega aag is mein lagane
meri jhonpaDi ka pata le gaya wo
lubhane ki us mein ada kab thi pahle
meri shaeri ki ada le gaya wo
wo but hum se mil kar bana somnati
ki sone ka pani chaDha le gaya wo
Ghazal
Mere ghar ki inTen chura le gaya wo
Fay Seen Ejaz