mere dil ki KHataen bhi qayamat hain qayamat hain
KHataon par sazaen bhi qayamat hain qayamat hain
kahan se main kahan aaya kahan se dil kahan pahuncha
mohabbat ki hawaen bhi qayamat hain qayamat hain
nahin malum kya roz-e-jaza pesh aane wala hai
qayamat mein sazaen bhi qayamat hain qayamat hain
koi jita hai un se aur marta hai koi un par
lagawaT ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain
ilaj-e-ishq se ai chaara-gar taklif baDhti hai
mere haq mein dawaen bhi qayamat hain qayamat hain
yahi kahta hai sun sun kar wo ahl-e-gham ke nalon ko
faqiron ki sadaen bhi qayamat hain qayamat hain
idhar meri tabiat bhi nahin rukti nahin thamti
udhar un ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain
chalo rindon baDho aao piyo phir fasl-e-gul aai
ye saqi ki sadaen bhi qayamat hain qayamat hain
kahin aisa na ho baDh jae pahle se junun mera
ghaTaen bhi hawaen bhi qayamat hain qayamat hain
qayamat ke jo munkir hon wo dekhen meri aaankhon se
hasinon ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain
dam-e-be-dad wo ai 'nuh' dil mein ye samajh rakkhe
hamari bad-duaen bhi qayamat hain qayamat hain
Ghazal
Mere dil ki KHataen bhi qayamat hain qayamat hain
Nooh Narvi