mere bhi surKH-ru hone ka ek mauqa nikal aata
gham-e-jaanan ke malbe se gham-e-duniya nikal aata
ye mana main thaka-haara musafir hun magar phir bhi
tumhaare sath chalne ka koi rasta nikal aata
teri yaadon ki pathrili zamin shadab ho jati
agar aankhon ke sahra se koi dariya nikal aata
chalo achchha hua Thahra na wo bhi aaKHir-e-shab tak
ki us ke baad to phir subh ka tara nikal aata
kahan be-tab rakh sakta tha phir ehsas-e-mahrumi
dayar-e-ghair mein tum sa koi apna nikal aata
rida-e-agahi ke bojh ne KHam kar diya warna
hamara qad bhi phir tum se bahut uncha nikal aata
Ghazal
Mere bhi surKH-ru hone ka ek mauqa nikal aata
Yusuf Taqi