mere arman mayusi ke pale paDte jate hain
tumhaari chah mein jine ke lale paDte jate hain
udhar us ki shararat jis ne gham ki aag sulga di
idhar mera kaleja jis mein chhaale paDte jate hain
mere un ke talluq par koi ab kuchh nahin kahta
KHuda ka shukr sab ke munh mein tale paDte jate hain
gham-e-nakaami-e-koshish se haalat bigDi jati hai
kaleje mein yahan be-ag chhaale paDte jate hain
hamara dard aah-e-dil maza deta hai uD uD kar
tumhaare chand se chehre pe haale paDte jate hain
masiha ja raha hai dauD kar aawaz do 'muztar'
ki dil ko dekhta ja jis mein chhaale paDte jate hain
Ghazal
Mere arman mayusi ke pale paDte jate hain
Muztar Khairabadi