اردو हिंदी
Mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye | Shaahi Shayari
mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye

Ghazal

Mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye

Shaz Tamkanat

;

mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye
tu dost hai to nasihat na kar KHuda ke liye

wo kashtiyan meri patwar jin ke TuT gae
wo baadban jo taraste rahe hawa ke liye

bas ek huk si dil se uThe ghaTa ki tarah
ki harf o saut zaruri nahin dua ke liye

jahan mein rah ke jahan se barabari ki ye choT
ek imtihan-e-musalsal meri ana ke liye

namida-KHu hai ye miTTi har ek mausam mein
zamin-e-dil hai tarasti nahin ghaTa ke liye

main tera dost hun tu mujh se is tarah to na mil
barat ye rasm kisi surat-ashna ke liye

milunga KHak mein ek roz bij ke manind
fana pukar rahi hai mujhe baqa ke liye

mah o sitara o KHurshid o charKH haf-iqlim
ye ehtimam mere dast-e-na-rasa ke liye

jafa jafa hi agar hai to ranj kya ho 'shaz'
wafa ki pusht-panahi bhi ho jafa ke liye