اردو हिंदी
Mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha | Shaahi Shayari
mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha

Ghazal

Mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha

Mohammad Abid Ali Abid

;

mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha
yaqin murda hua par guman zinda raha

jahan wo rahta tha ab us ki yaad rahti hai
makin baghair bhi goya makan zinda raha

bas us ke hone ka ehsas hai gharaz ki KHuda
wajud wahime ke darmiyan zinda raha

suKHan se faeda kuchh ho to koi bole bhi
main jis jagah bhi raha be-zaban zinda raha

tamam umr kaTi bebasi ke aalam mein
yun kahne ke liye buDha jawan zinda raha

wo jab talak raha mahaul KHush-gawar raha
wo bazm mein sifat-e-zafran zinda raha