mera mazmun sawar-e-tausun-e-tab-e-rawan ho kar
zamin-e-sher par phirta hai goya aasman ho kar
khaTak jate hain chashm-e-barq mein mera nishan ho kar
ghazab Dhate hain yani chand tinke aashiyan ho kar
sun ai josh-e-junun taqlid-e-majnun ki nahin achchhi
mabaada hum bhi rah jaen kisi din dastan ho kar
dama-dam shoabde hum ko dikhata hai koi jalwa
kahin shaiKH-e-haram ho kar kahin pir-e-mughan ho kar
in aankhon se bahaar-e-bagh-e-duniya dene walo
ye aankhen rang laengi kisi din KHun-fishan ho kar
aji kya shama kya parwana donon jal bujhe aaKHir
koi aatish-fishan ho kar koi aatash-bajaan ho kar
KHuda mahfuz rakkhe ye hasin dil le hi lete hain
kisi par mehrban ho kar kisi se sargiran ho kar
na paya aur kuchh bhi juz KHuda kabe mein ai 'aKHtar'
bahut nadim hue hum but-kade se bad-guman ho kar
Ghazal
Mera mazmun sawar-e-tausun-e-tab-e-rawan ho kar
Hari Chand Akhtar

