اردو हिंदी
Mera mahbub sab ka man haran hai | Shaahi Shayari
mera mahbub sab ka man haran hai

Ghazal

Mera mahbub sab ka man haran hai

Sadruddin Mohammad Faez

;

mera mahbub sab ka man haran hai
nazar kar dekh wo aahu nain hai

nahin ab jag mein waisa aur sajan
mujhe surat-shanasi bich fan hai

sabi diwane hain us mah-laqa ke
magar wo dil-ruba jadu nayan hai

kare rashk-e-gulistan dil ko 'faez'
mera sajan bahaar-e-anjuman hai