mera ji hai jab tak teri justuju hai
zaban jab talak hai yahi guftugu hai
KHuda jaane kya hoga anjam is ka
main be-sabr itna hun wo tund-KHu hai
tamanna teri hai agar hai tamanna
teri aarzu hai agar aarzu hai
kiya sair sab hum ne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti mein ajab rang-o-bu hai
ghanimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan aankh mund gai na main hun na tu hai
nazar mere dil ki paDi 'dard' kis par
jidhar dekhta hun wahi ru-ba-ru hai
Ghazal
Mera ji hai jab tak teri justuju hai
Khwaja Meer u0027Dardu0027