mera dil dad-KHwah-e-zulm aslan ho nahin sakta
murawwat munh ko si deti hai shikwa ho nahin sakta
chhupao aap ko jis rang ya jis bhes mein chaho
magar chashm-e-haqiqat-bin se parda ho nahin sakta
tamasha-gah-e-hairat hai dayar-e-dil ki virani
ye sannaTa miyan-e-dasht-o-sahra ho nahin sakta
baDha ek aur gham ifsha-e-raaz-e-ishq se warna
na main khulta na wo kahte ki aisa ho nahin sakta
mere zulmat-kade mein roz-e-raushan ka guzar kaisa
salamat hai shab-e-gham to ujala ho nahin sakta
dam-e-ahd-o-wafa Thahra na un ke samne koi
siwa mere to main kis dil se kahta ho nahin sakta
kabhi kaj-taba ko dekha na sidhi rah par aate
jo hai dar-asl bad-baatin wo achchha ho nahin sakta
na hon sang-e-dar-e-mai-KHana ahl-e-zohd ai 'saqib'
ki main paband-e-rasm-o-rah-e-taqwa ho nahin sakta

Ghazal
Mera dil dad-KHwah-e-zulm aslan ho nahin sakta
Saqib Lakhnavi