اردو हिंदी
Kaisa chaman asiri mein kis ko idhar KHayal | Shaahi Shayari
kaisa chaman asiri mein kis ko idhar KHayal

Ghazal

Kaisa chaman asiri mein kis ko idhar KHayal

Mir Taqi Mir

;

kaisa chaman asiri mein kis ko idhar KHayal
parwaz KHwab ho gai hai baal-o-par KHayal

mushkil hai miT gae hue naqshon ki phir numud
jo suraten bigaD gain un ka na kar KHayal

mu ko abas hai tab kali yun hi tang hai
us ka dahan hai wahm-o-guman-o-kamar KHayal

ruKHsar par hamare Dhalakne ko ashk ke
dekhe hai jo koi so kare hai guhar KHayal

kis ko dimagh-e-sher-o-suKHan zoaf mein ki 'mir'
apna rahe hai ab to hamein beshtar KHayal