aae hain 'mir' munh ko banae KHafa se aaj
shayad bigaD gai hai kuchh us bewafa se aaj
washud hui na dil ko faqiron ke bhi mile
khulti nahin girah ye kasu ki dua se aaj
jine mein iKHtiyar nahin warna ham-nashin
hum chahte hain maut to apni KHuda se aaj
saqi Tuk ek mausam-e-gul ki taraf bhi dekh
Tapka paDe hai rang chaman mein hawa se aaj
tha ji mein us se miliye to kya kya na kahiye 'mir'
par kuchh kaha gaya na gham-e-dil haya se aaj
Ghazal
Aae hain mir munh ko banae KHafa se aaj
Mir Taqi Mir