اردو हिंदी
Jab junun se hamein tawassul tha | Shaahi Shayari
jab junun se hamein tawassul tha

Ghazal

Jab junun se hamein tawassul tha

Mir Taqi Mir

;

jab junun se hamein tawassul tha
apni zanjir-e-pa hi ka ghul tha

bistara tha chaman mein jon bulbul
nala sarmaya-e-tawakkul tha

yak nigah ko wafa na ki goya
mausam-e-gul safir-e-bulbul tha

un ne pahchan kar hamein mara
munh na karna idhar tajahul tha

shahr mein jo nazar paDa us ka
kushta-e-naz ya taghaful tha

ab to dil ko na tab hai na qarar
yaad-e-ayyam jab tahammul tha

ja phansa dam-e-zulf mein aaKHir
dil nihayat hi be-tammul tha

yun gai qad ke KHam hue jaise
umr ek rahraw sar-e-pul tha

KHub daryaft jo kiya hum ne
waqt-e-KHush 'mir' nikhat-e-gul tha