kya mere aane pe tu ai but-e-maghrur gaya
kabhi us rah se nikla to tujhe ghur gaya
le gaya subh ke nazdik mujhe KHwab ai wae
aankh us waqt khuli qafila jab dur gaya
gor se nale nahin uThte to nai ugti hai
ji gaya par na hamara sar pur-shor gaya
chashm-e-KHun-basta se kal raat lahu phir Tapka
hum ne jaana tha ki bas ab to ye nasur gaya
na-tawan hum hain ki hain KHak gali ki us ki
ab to be-taqati se dil ka bhi maqdur gaya
le kahin munh pe naqab apne ki ai ghairat-e-subh
shama ke chehra-e-raKHshan se to ab nur gaya
nala-e-'mir' nahin raat se sunte hum log
kya tere kuche se ai shoKH wo ranjur gaya
Ghazal
Kya mere aane pe tu ai but-e-maghrur gaya
Mir Taqi Mir