koi hua na ru-kash Tak meri chashm-e-tar se
kya kya na abr aa kar yan zor zor barse
wahshat se meri yaro KHatir na jama rakhiyo
phir aawe ya na aawe nau pur uTha jo ghar se
ab jun sarishk un se phirne ki chashm mat rakh
jo KHak mein mile hain gir kar teri nazar se
didar KHwah us ke kam hon to shor kam ho
har subh ek qayamat uThti hai us ke dar se
dagh ek ho jila bhi KHun ek ho baha bhi
ab bahs kya hai dil se kya guftugu jigar se
dil kis tarah na khinchen ashaar reKHte ke
behtar kya hai main ne us aib ko hunar se
anjam-e-kar bulbul dekha hum apni aankhon
aawara the chaman mein do chaar TuTe par se
be-taqati ne dil ki aaKHir ko mar rakha
aafat hamare ji ki aai hamare ghar se
dilkash ye manzil aaKHir dekha to aah nikli
sab yar ja chuke the aae jo hum safar se
aawara 'mir' shayad wan KHak ho gaya hai
yak gard uTh chale hai gah us ki rahguzar se
Ghazal
Koi hua na ru-kash Tak meri chashm-e-tar se
Mir Taqi Mir