kahna tere munh par to nipaT be-adabi hai
zahid jo sifat tujh mein hai sozan-e-jalbi hai
is dasht mein ai sail sambhal hi ke qadam rakh
har samt ko yan dafn mari tishna-labi hai
har ek se kaha nind mein par koi na samjha
shayad ki mere haal ka qissa arabi hai
uzlat se nikal shaiKH ki tere liye tayar
koi haft-gazi meKH koi dah-wajabi hai
ai charKH na tu roz-e-siyah 'mir' pe lana
bechaara wo ek nara-zan nim-shabi hai
Ghazal
Kahna tere munh par to nipaT be-adabi hai
Mir Taqi Mir