taqat nahin hai dil main ne ji baja raha hai
kya naz kar rahe ho ab hum mein kya raha hai
jeb aur aastin se rone ka kaam guzra
sara nichoD ab to daman par aa raha hai
ab chait gar nahin kuchh taza hua hun bekal
aaya hun jab ba-KHud mein ji is mein ja raha hai
kahe ka pas ab to ruswai dur pahunchi
raaz-e-mohabbat apna kis se chhapa raha hai
gard-e-rah us ki yarab kis aur se uThegi
sau sau ghazal har-su aankhen laga raha hai
bande to trahdar whin tarah kash tumhaare
phir chahte ho kya tum ab ek KHuda raha hai
dekh us dahan ko har-dam ai aarsi ki yun hi
KHubi ka dar kaso ke munh par bhi wa raha hai
we lutf ki nigahen pahle fareb hain sab
kis se wo be-murawwat phir aashna raha hai
itna KHizan kare hai kab zard rang par yan
tu bhi kaso nigah se ai gul juda raha hai
rahte hain dagh aksar nan-o-namak ki KHatir
jine ka us samayn mein ab kya maza raha hai
ab chahta nahin hai bosa jo tere lab se
jine se 'mir' shayad kuchh dil uTha raha hai
Ghazal
Taqat nahin hai dil maine ji baja raha hai
Mir Taqi Mir