اردو हिंदी
Kai din suluk widaa ka mere dar pai dil zar tha | Shaahi Shayari
kai din suluk widaa ka mere dar pai dil zar tha

Ghazal

Kai din suluk widaa ka mere dar pai dil zar tha

Mir Taqi Mir

;

kai din suluk widaa ka mere dar pai dil zar tha
kabhu dard tha kabhu dagh tha kabhu zaKHm tha kabhu war tha

dam-e-subh bazm-e-KHush jahan shab-e-gham se kam na thi mehrban
ki charagh tha so tu dud tha jo patang tha so ghubar tha

dil KHasta-lohu jo ho gaya to bhala hua ki kahan talak
kabhu soz-e-sina se dagh tha kabhu dard-o-gham se figar tha

dil-e-muztarib se guzar gai shab-e-wasl apni hi fikr mein
na dimagh tha na faragh tha na shakeb tha na qarar tha

jo nigah ki bhi palak uTha to hamare dil se lahu baha
ki wahin wo nawak-e-be-KHata kaso ke kaleje ke par tha

ye tumhaari in dinon dostan mizha jis ke gham mein hai KHun-chakan
wahi aafat-e-dil-e-ashiqan kaso waqt hum se bhi yar tha

nahin taza-dil ki shikastagi yahi dard tha yahi KHastagi
use jab se zauq-e-shikar tha use zaKHm se sarokar tha

kabhu jaegi jo udhar saba to ye kahiyo us se ki bewafa
magar ek 'mir' shikasta-pa tere bagh-e-taza mein KHar tha