kya karun sharh KHasta-jaani ki
main ne mar mar ke zindagani ki
haal bad-guftani nahin mera
tum ne puchha to mehrbani ki
sab ko jaana hai yun to par ai sabr
aati hai ek teri jawani ki
tishna-lab mar gae tere aashiq
na mili ek bund pani ki
bait-bahsi samajh ke kar bulbul
dhum hai meri KHush-zabani ki
jis se khoi thi nind 'mir' ne kal
ibtida phir wahi kahani ki
Ghazal
Kya karun sharh KHasta-jaani ki
Mir Taqi Mir