اردو हिंदी
Milte nahin ho humse ye kya hua watira | Shaahi Shayari
milte nahin ho humse ye kya hua watira

Ghazal

Milte nahin ho humse ye kya hua watira

Pandit Jawahar Nath Saqi

;

milte nahin ho hum se ye kya hua watira
milne laga hai shayad ab tum se koi KHira

aankhon hi mein uDaya naqd-e-dil-o-jigar ko
wo shoKH dil-ruba hai kaisa aThai-gira

ulfat ka jurm be-shak sarzad hua hai hum se
is ko saghira samjho chahe ise kabira

maidan-e-hashr tera kucha bana hai qatil
jata hai ab jo koi aata hai qasharira

girwida kar liya hai nairagi-e-nazar ne
kaisi hui fusun-gar wo shoKH chashm-e-gira

us shoKH dil-ruba par kyunkar na hon fida hum
saj-dhaj hui nirali bandha jo us ne chira

minnat-pazir us ke aaKHir ko ho gae hum
jo muddaa tha apna us ne kiya pazira

shaghil jo ho gae hain mahmud aaqibat hain
sultana shaghl-e-shab hai din ka hua nasira

the shefta jo 'saqi' ek mast-e-nosh lab ke
maiKHane hi ke andar apna bana KHatira