milta hai mauj mauj mujhe tu kabhi kabhi
ubhra hai tera aks lab-e-ju kabhi kabhi
pate hain kuchh gulab Thikanon mein parwarish
aati hai pattharon se bhi KHushbu kabhi kabhi
ye bhi hua ki aankh bhi pathra gai meri
palkon pe jam gae mere aansu kabhi kabhi
rakh subh-o-sham shana-e-tadbir hath mein
haalat ke bikharte hain gesu kabhi kabhi
ye bhi hai ek sitam teri qurbat ke bawajud
milta nahin sukun kisi pahlu kabhi kabhi
bhaTki meri nigah bhi teri talash mein
aansu bane hain aankh mein aahu kabhi kabhi
main sang-e-dil nahin hun magar is ke bawajud
chalta hai mujh pe husn ka jadu kabhi kabhi
shabnam ba-dosh aa ke mujhe hausla bhi de
baad-e-saba ki tarah mujhe chhu kabhi kabhi
'nasir' meri ghazal ko bahaaron ka bankpan
deti hai us ki jumbish-e-abru kabhi kabhi
Ghazal
Milta hai mauj mauj mujhe tu kabhi kabhi
Nasir chaudhri