اردو हिंदी
Mili rah wo ki farar ka na pata chala | Shaahi Shayari
mili rah wo ki farar ka na pata chala

Ghazal

Mili rah wo ki farar ka na pata chala

Ghulam Murtaza Rahi

;

mili rah wo ki farar ka na pata chala
uDa sang se to sharar ka na pata chala

jo khinche khinche mujhe lag rahe the yahan wahan
kisi ek aise hisar ka na pata chala

raha jate jate na dekh sakne ka gham hamein
wo ghubar uTha ki sawar ka na pata chala

rahi hijr mein jo ek ek pal ki KHabar mujhe
to visal mein shab-e-tar ka na pata chala

kai mausamon se talash mein hai meri nazar
kisi gulsitan se bahaar ka na pata chala