mili hawaon mein uDne ki wo saza yaro
ki main zamin ke rishton se kaT gaya yaro
wo be-KHayal musafir mein rasta yaro
kahan tha bas mein mere us ko rokna yaro
mere qalam pe zamane ki gard aisi thi
ki apne bare mein kuchh bhi na likh saka yaro
tamam shahr hi jis ki talash mein gum tha
main us ke ghar ka pata kis se puchhta yaro
jo be-shumar dilon ki nazar mein rahta tha
wo apne bachchon ko ek ghar na de saka yaro
janab-e-'mir' ki KHud-gharziyon ke sadqe mein
miyan 'wasim' ke kahne ko kya bacha yaro

Ghazal
Mili hawaon mein uDne ki wo saza yaro
Waseem Barelvi