milegi shaiKH ko jannat, hamein dozaKH ata hoga
bas itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga
rahe do do farishte sath ab insaf kya hoga
kisi ne kuchh likha hoga kisi ne kuchh likha hoga
ba-roz-e-hashr hakim qadir-e-mutlaq KHuda hoga
farishton ke likhe aur shaiKH ki baaton se kya hoga
teri duniya mein sabr o shukr se hum ne basar kar li
teri duniya se baDh kar bhi tere dozaKH mein kya hoga
sukun-e-mustaqil dil be-tamanna shaiKH ki sohbat
ye jannat hai to is jannat se dozaKH kya bura hoga
mere ashaar par KHamosh hai jiz-biz nahin hota
ye waiz waizon mein kuchh haqiqat-ashna hoga
bharosa kis qadar hai tujh ko 'aKHtar' us ki rahmat par
agar wo shaiKH-sahib ka KHuda nikla to kya hoga
Ghazal
Milegi shaiKH ko jannat, hamein dozaKH ata hoga
Hari Chand Akhtar