mila na khet se us ko bhi aab-o-dana kya
kisan shahr ko phir ek hua rawana kya
kahan se lae ho palkon pe tum guhar itne
tumhaare hath laga hai koi KHazana kya
faza ka habs kisi taur ab nahin jata
ki talKH dhup kya mausam koi suhana kya
tamam tarah ke samjhaute karne paDte hain
miyan mazaq grihasti ko hai chalana kya
gunah kuchh to mujhe be-tarah lubhate hain
ye raaz khol hi deta hun ab chhupana kya
ho dushmani bhi kisi se to daimi kyun ho
jo TuT jae zara mein wo dostana kya
KHabar-nawes nahin hun main ek shaer hun
tamam misre hain mere naya purana kya
na dhar le rup kabhi jhonk mein talatum ka
wo narm-rau hai nadi ka magar Thikana kya
karo to munh pe malamat karo meri 'saurabh'
ye meri piTh ke pichhe se phusphusana kya

Ghazal
Mila na khet se usko bhi aab-o-dana kya
Saurabh Shekhar