mila na dair-o-haram mein kahin nishan un ka
had-e-nigah se bahar hai aastan un ka
nigah milte hi hum dil pakaD ke baiTh gae
laga jo tir-e-nazar aa ke na-gahan un ka
kiye hain rah-e-wafa mein wahin wahin sajde
mila hai naqsh-e-kaf-e-pa jahan jahan un ka
haTe na rah-e-wafa se wafa ke diwane
hazar bar liya tum ne imtihan un ka
base hue hain wo aise meri nigahon mein
kabhi kabhi mujhe KHud par hua guman un ka
jinhon ne josh-e-wafa mein bigaD li hasti
zamana aaj bhi leta hai imtihan un ka
hazar dair-o-haram sadd-e-rah hue ai 'saif'
talash kar hi liya dil ne aastan un ka
Ghazal
Mila na dair-o-haram mein kahin nishan un ka
Saif Bijnori