mila hai jism ki us ka guman mila hai mujhe
wo hath aa ke bhi aksar kahan mila hai mujhe
main sirf dekh hi sakta hun chashm-e-sahil se
ki wo badan ajab aab-e-rawan mila hai mujhe
faroKHt kar ke KHasare mein aa gaya bazar
to soch lo ki wo kitna garan mila hai mujhe
achanak aaj mera zaKHm baat karne laga
bahut dinon mein koi ham-zaban mila hai mujhe
hamesha der se pahuncha main us ki mahfil mein
bajae aag hamesha dhuan mila hai mujhe
ajab kashakash-e-iman-o-kufr rahti hai
wo but hamesha ba-waqt-e-azan mila hai mujhe
ulaT ke rakh diya 'ehsas' ne hisab-e-umr
wo rose kal se ziyaada jawan mila hai mujhe

Ghazal
Mila hai jism ki us ka guman mila hai mujhe
Farhat Ehsas