اردو हिंदी
Mila diye KHak mein KHuda ne palak ke lagte hi shah lakhon | Shaahi Shayari
mila diye KHak mein KHuda ne palak ke lagte hi shah lakhon

Ghazal

Mila diye KHak mein KHuda ne palak ke lagte hi shah lakhon

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

mila diye KHak mein KHuda ne palak ke lagte hi shah lakhon
jinhon ke adna ghulam rakhte the apne chaakar sipah lakhon

namaz o roze zakat o haj par nahin hai mauquf kuchh ai zahid
jidhar ko jawe udhar ko hainge KHuda ke milne ke rah lakhon

suna hai main ne ki tu ne mera kiya hai shikwa kisi se zalim
tere sitam aur meri wafa ke jahan mein hainge gawah lakhon

ajab tamasha hai kis se kahiye asar nahin sang-dil ke dil mein
karun hun yaro main ek dam mein hazaron nale wa aah lakhon

kare hai fariyaad ek aalam gali mein us ki hai shor-e-mahshar
jo ek hoe to kije insaf us ke hain dad-KHwah lakhon

karoD bari mein sau tarah se kaha ki kha aur khila na mana
koi to lewega chhin tujh se tu joD KHissat-panah lakhon

ye misra-e-soz sun ke 'hatim' kahe hai naseh se ai azizo
umid-e-baKHshish hai jab se hum ko kiye hain hum ne gunah lakhon