اردو हिंदी
Mil us pari se kya kya hua dil | Shaahi Shayari
mil us pari se kya kya hua dil

Ghazal

Mil us pari se kya kya hua dil

Waliullah Muhib

;

mil us pari se kya kya hua dil
shaida hua dil ruswa hua dil

barq-e-tajalli dekh us nigah ki
jun tur jal kar surma hua dil

us sang-dil ki mai-KHwargi se
KHun-e-jigar mein mina hua dil

hain munqasim ye KHun-bar aankhen
jin ki badaulat dariya hua dil

josh-e-junun se ishq-e-butan mein
sina hua koh-e-sahra hua dil

sozan hai az bas dagh-e-mohabbat
ek ek ka sa shoala hua dil

yunhi 'muhib' thi KHwahish KHuda ki
ab to butan ka banda hua dil