mil mil ke doston ne wo di hai dagha mujhe
ab KHud pe bhi nahin hai guman-e-wafa mujhe
uf ibtida-e-shauq ki masum justuju
har phul tha chaman mein tera naqsh-e-pa mujhe
ai khinchne wale dekh meri be-panahiyan
aati hai dushmanon se bhi bu-e-wafa mujhe
duniya tumhein aziz hai mere siwa magar
aalam hai na-pasand tumhaare siwa mujhe
karti nahin ubur tumhein meri justuju
kya kar diya hai tum ne ye kya ho gaya mujhe
wazan bhi hans paDa hun to phir dil se muddaton
aai karahne ki sada par sada mujhe
phir baat baat mein hai lachak iltifat ki
kya phir dikhaoge koi KHwab-e-wafa mujhe
ye hai fughan ka zor to phir wo chuka qafas
kar degi meri shoala-nawai riha mujhe
kotahi-e-nazar se ahata na ho saka
milne ko yun mila hai buton mein KHuda mujhe
meri wafa pe aap hi chin-bar-jabin nahin
main KHud bhi sochta hun ye kya ho gaya mujhe
jis muddaa-e-shauq ki daryaft hain huzur
mayus kar raha hai wahi muddaa mujhe
ek ziq ek azab ek andoh ek taDap
tum ne ye dil ke nam se kya de diya mujhe
un ko ganwa ke haal raha hai ye muddaton
aaya KHayal bhi to baDa gham hua mujhe
iflas ke shabab-e-muqaddas mein barha
aaya hai puchhne mere ghar par KHuda mujhe
'ehsan' apne waqt pe maut aaegi magar
jine ka mashwara nahin deti faza mujhe
Ghazal
Mil mil ke doston ne wo di hai dagha mujhe
Ehsan Danish