mil kar sanam se apne hangam-e-dil-kushai
hans kar kaha ye hum ne ai jaan basant aai
sunte hi us pari ne gul gul shagufta ho kar
poshak-e-zar-fishani apni wahin rangai
jab rang ke aai us ke poshak-e-pur-nazakat
sarson ki shaKH par kal phir jald ek mangai
ek pankhuDi uTha kar nazuk se ungliyon mein
rangat ko us ki apni poshak se milai
jis dam kya muqabil kiswat se apni us ko
dekha to is ki rangat us par hui siwai
phir to ba-sad-masarrat aur sau nazakaton se
nazuk badan pe apne poshak wo khapai
Ghazal
Mil kar sanam se apne hangam-e-dil-kushai
Nazeer Akbarabadi