mil bhi jata jo aab aab-e-baqa kya karte
zindagi KHud bhi thi jine ki saza kya karte
sarhaden wo na sahi apni hadon se bahar
jo bhi mumkin tha kya us ke siwa kya karte
hum sarabon mein sada phul khilate guzre
ye bhi tha aabla-pai ka sala kiya karte
jis ko mauhum lakiron ka muraqqa kahiye
lauh-e-dil par tha yahi naqsh-e-wafa kya karte
ab wo shaalon ka qafas ho ki lahu ki KHushbu
dil pe lahraati rahi barq-e-ada kya karte
mangne ko to yahan apne siwa kuchh bhi na tha
lab pe aata bhi agar harf-e-dua kya karte
hum ko KHud arz-e-tamanna ka saliqa bhi na tha
wo bhi 'tanwir' bhala uzr-e-jafa kya karte

Ghazal
Mil bhi jata jo aab aab-e-baqa kya karte
Tanveer Ahmad Alvi