miThi hai aisi baat us ki
launDi hai ek nabaat us ki
samjha na main ek baat us ki
mujh par kya kaenat us ki
aalam hai be-sabaat ai dil
ek zat ko hai sabaat us ki
mah us ka hai aaftab us ka
din us ka hai aur raat us ki
kis munh se karun main wasf us ka
hai aql se dur zat us ki
mimber pe jo bak raha hai waiz
kab sunta hun KHair baat us ki
hai daulat-e-husn pas tere
deta nahin kyun zakat us ki
hai jo ki shahid tegh-e-taslim
hai misl-e-KHizar hayat us ki
dam de ke na naqd-e-dil ko le-le
chal jae kahin na ghat us ki
jo dil ki hai gharq bahr-e-duniya
kyunkar hogi najat us ki
dil jata hai su-e-ku-e-qatil
KHaliq rakhe hayat us ki
dam de ke le aaya yar ko dil
kya rah gai aaj baat us ki
tanha nahin 'muntahi' kisi ja
taqdir hai us ke sath us ki
Ghazal
MiThi hai aisi baat uski
Mirza Maseeta Beg Muntahi

