mir-e-majlis-e-rindan aaj wo sharabi hai
KHun-e-dil jise mera bada-e-gulabi hai
dil ko saKHt betabi chashm ko be-KHwabi hai
hijr mein tere zalim ye ye kuchh KHarabi hai
aish chahiye jo kuchh so to aaj hai maujud
jam o mai hai saqi hai sair-e-mahtabi hai
subh hone de Tuk tu raat hai abhi baqi
tujh ko ghar ke jaane ki aisi kya shitabi hai
hum hain aur tum ho yan ghair to nahin koi
aa gale se lag jao waqt-e-be-hijabi hai
tere ai pari-paikar sine par nahin pistan
taq-e-husn par goya shisha-e-hababi hai
kyun na bazm mein 'bedar' howe qabil-e-tahsin
har yak is ghazal ke bich sher intiKHabi hai
Ghazal
Mir-e-majlis-e-rindan aaj wo sharabi hai
Meer Mohammadi Bedar