meri taqdir mein jalna hai to jal jaunga
tera wada to nahin hun jo badal jaunga
soz bhar do mere sapne mein gham-e-ulfat ka
main koi mom nahin hun jo pighal jaunga
dard kahta hai ye ghabra ke shab-e-furqat mein
aah ban kar tere pahlu se nikal jaunga
mujh ko samjhao na 'sahir' main ek din KHud hi
Thokaren kha ke mohabbat mein sambhal jaunga

Ghazal
Meri taqdir mein jalna hai to jal jaunga
Sahir Ludhianvi