meri tahriron ka mahwar ek be-sar faKHta
mera nara KHamushi mera payambar faKHta
ek aangan qahqahon aur siskiyon se be-KHabar
chhat pe ek parcham phaTa sa aur dar par faKHta
tere raston ki rukawaT shaKH ek zaitun ki
tere aiwanon ke andar jagta Dar faKHta
sham pyari sham us par bhi koi dar khol de
shaKH par baiThi hui hai ek beghar faKHta
ek jaanib ujle pani ka bulawa aur hua
dusri samt ek akeli aur be-par faKHta
Ghazal
Meri tahriron ka mahwar ek be-sar faKHta
Javaid Anwar