meri nigah mein yar main us ki nigah mein
zarre mein mahtab hai zarra hai mah mein
dil mein hai dud aah to dil dud-e-ah mein
abr-e-siyah ghar mein ghar abr-e-siyah mein
aisa kiya hai fauj-e-hawadis ka samna
hairat mein hai sipah to hairat sipah mein
phaili hui hai zulf ki chhai hui ghaTa
abr-e-siyah tum mein tum abr-e-siyah mein
gham mein KHushi hai aur KHushi mein nihan hai gham
muzmar hai aah wah mein aur wah aah mein
kya dekhta hai mujh ko sarapa hun chashm-e-shauq
meri nigah tujh pe tu meri nigah mein
ashshaiKH waqt kya ye hamara qusur hai
lazzat mein hai gunah to lazzat gunah mein
meri nazar mein tum ho tumhaari nazar mein main
meri nigah mein tum main tumhaari nigah mein
shikwe mein shukr shukr mein shikwa mila hua
ye aah meri rah mein aur wah aah mein
main us ka said-e-husn wo mera shikar-e-ishq
us ki nigah mujh pe wo meri nigah mein
dil tum mein aur dil mein tum allah re nasib
shah maskan-e-gada mein gada qasr-e-shah mein
dil bazm-e-yar mein hai to dil mein hai bazm-e-yar
mujh mein hai jalwa-gah to main jalwa-gah mein
sar aur kulah donon 'saKHa' be-sabaat hain
dam mein kulah sar pe na sar hai kulah mein
Ghazal
Meri nigah mein yar main uski nigah mein
Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi