اردو हिंदी
Meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain | Shaahi Shayari
meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain

Ghazal

Meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain

Khurshid-ul-islam

;

meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain
sabza baDa sarkash hai wan aur sard KHush-raftar hain

shaKHen hain wan aarasta aur gul hain wan nau-KHasta
pyale hain jin ke madh-bhare aur pairahan zar-kar hain

har har qadam par KHub-ru aaram-e-jaan aur kaam-ju
aankhon mein ghunchon ki chaTak chehre ghazab gulnar hain

jitne ye kam-amez hain itne hi shauq-angez hain
zahir mein jitne saKHt hain itne hi kam-azar hain

un ki nigah ka saiqa karta hai kar-e-laiqa
chakkhen jo us ka zaiqa saton samundar par hain

harf-e-ghalat din-e-kuhan sare hijabaat-e-badan
aazad hain sab mard-o-zan sab aadmi sab yar hain

jage hue hain mai-kade har kufr-o-iman se pare
bikhri hui tasbih hai TuTe hue zunnar hain