اردو हिंदी
Meri mahdud basarat ka natija nikla | Shaahi Shayari
meri mahdud basarat ka natija nikla

Ghazal

Meri mahdud basarat ka natija nikla

Ahmad Nadeem Qasmi

;

meri mahdud basarat ka natija nikla
aasman mere tasawwur se bhi halka nikla

roz-e-awwal se hai fitrat ka raqib aadam-zad
dhup nikli to mere jism se saya nikla

sar-e-dariya tha charaghan ki ajal raqs mein thi
bulbula jab koi TuTa to sharara nikla

baat jab thi ki sar-e-sham farozan hota
raat jab KHatm hui subh ka tara nikla

muddaton baad jo roya hun to ye sochta hun
aaj to sina-e-sahra se bhi dariya nikla

kuchh na tha kuchh bhi na tha jab mere aasar khude
ek dil tha so kai jagah se TuTa nikla

log shahpara-e-yak-jai jise samjhe the
apni KHalwat se jo nikla to bikharta nikla

mera isar mere zoam mein be-ajr na tha
aur main apni adalat mein bhi jhuTa nikla

main to samjha tha bahut sard hai zahid ka mizaj
us ke andar to qayamat ka tamasha nikla

wahi be-ant KHala hai wahi be-samt safar
mera ghar mere liye aalam-e-baala nikla

zindagi ret ke zarraat ki ginti thi 'nadim'
kya sitam hai ki adam bhi wahi sahra nikla