meri manind KHud-nigar tanha
ye surahi mein phul nargis ka
itni shamen thin teri yaadon ki
apna saya bhi apna saya na tha
mere nazdik teri duri thi
koi manzil thi koi aalam tha
hae wo zindagi-fareb aankhen
tu ne kya socha main ne kya samjha
subah ki dhup hai ki raston par
munjamid bijliyon ka ek dariya
ghungruon ki jhanak-manak mein basi
teri aahaT! main kis KHayal mein tha
phir kahin dal ke burj par koi aks
faslon ki fasil se ubhra
phul murjha na jaen bajron mein
manjhiyo koi git sahil ka
waqt ki sarhaden simaT jatin
teri duri se kuchh baid na tha
umr jalti hai baKHt jalwon ke
zist miTti hai bhag miTTi ka
rahen dardon ki chaukiyan chaukas
phul lohe ki baD par bhi khila
jo KHud un ke dilon mein tha tah-e-sang
wo KHazana kisi kisi ko mila
lakh qadren thin zindagani ki
ye muhit ek ajib zawiya tha
hai jo ye sar pe gyan ki gaThri
khol kar bhi ise kabhi dekha
roz jhukta hai ku-e-dil ki taraf
kaKH-e-sad-baam ka koi zina
Ghazal
Meri manind KHud-nigar tanha
Majeed Amjad