اردو हिंदी
Meri ghazal mein ek naya soz-e-jaan bhi hai | Shaahi Shayari
meri ghazal mein ek naya soz-e-jaan bhi hai

Ghazal

Meri ghazal mein ek naya soz-e-jaan bhi hai

Saleem Ahmed

;

meri ghazal mein ek naya soz-e-jaan bhi hai
mana abhi girani-e-lafz-o-bayan bhi hai

kuchh dil bhi hai nashat-e-tamanna se shad-kaam
aur kuchh teri jafa pe karam ka guman bhi hai

kya is hujum-e-shauq se ghabra na jaega
mana wo bad-guman-e-wafa mehrban bhi hai

kuchh naz-e-tamkanat bhi hai pas-e-haya ke sath
phir bar-e-arzu se zara sargiran bhi hai

taklif-e-iltifat na dun us nigah ko
ba-wasf-e-jaur-o-naz jo aaram-e-jaan bhi hai

mail karam pe hai magar allah re ehtiyat
paiman-e-arzu se mere bad-guman bhi hai

us yar dil-shikan pe hain dildariyan bhi KHatm
jo hum se sargiran bhi hai aur mehrban bhi hai

tu jis tarah sune ye hai tera moamla
gham amr-e-waqia bhi hai aur dastan bhi hai

kuchh 'askari' ka faiz bhi hai bais-e-ghazal
aur kuchh 'salim' meri tabiat rawan bhi hai