اردو हिंदी
Meri fariyaad pe roya hai chaman mere baad | Shaahi Shayari
meri fariyaad pe roya hai chaman mere baad

Ghazal

Meri fariyaad pe roya hai chaman mere baad

Iqbal Abidi

;

meri fariyaad pe roya hai chaman mere baad
khil gae aur bhi ghunchon ke dahan mere baad

sarfaroshi ka na zinda raha fan mere baad
KHud se uljha hi kiye dar-o-rasan mere baad

barhami teri rahi meri wafa tak baqi
kis ne dekhi tere mathe pe shikan mere baad

dil ko us zulf-e-pareshan mein giraftar hi rakh
phir bane ya na bane zulf-e-rasan mere baad

aaj bedad ko tum had se guzar jaane do
bhul jaoge qayamat ka chalan mere baad

qabil-e-qadr tha 'iqbaal' unhen hai taslim
yaad aaya hai mera tarz-e-suKHan mere baad