meri dua ki ghair pe un ki nazar na ho
wo hath uTha rahe hain ki yarab asar na ho
hum ko bhi zid yahi hai ki teri sahar na ho
ai shab tujhe KHuda ki qasam muKHtasar na ho
tum ek taraf tumhaari KHudai hai ek taraf
hairat-zada hai dil ki kidhar ho kidhar na ho
dushwar-tar bhi sahl hai himmat ke samne
ye ho to koi aisi muhim hai ki sar na ho
jab wo na aae fatiha paDhne to ai saba
baz aa gaya main shama bhi ab nauhagar na ho
ye kah ke deti jati hai taskin shab-e-firaq
wo kaun si hai raat ki jis ki sahar na ho
'bismil' buton ka ishq mubarak tumhein magar
itne niDar na ho ki KHuda ka bhi Dar na ho
Ghazal
Meri dua ki ghair pe unki nazar na ho
Bismil Azimabadi