meri arzani se mujh ko wo nikalega magar
apne upar ek din qurban kar dega mujhe
munjamid kar dega mujh mein aa ke wo sara lahu
dekhte hi dekhte be-jaan kar dega mujhe
kitna mushkil ho gaya hun hijr mein us ke so wo
mere pas aaega aur aasan kar dega mujhe
rafta rafta sari taswiren damakti jaengi
apne kamre ka wo aatish-dan kar dega mujhe
KHwab mein kya kuchh dikha laega wo aaina-ru
nind khulte hi magar hairan kar dega mujhe
ek qatre ki tarah hun us ki aankhon mein abhi
ab na Tapkunga to wo tufan kar dega mujhe

Ghazal
Meri arzani se mujhko wo nikalega magar
Salim Saleem