اردو हिंदी
Meri aankhon ke samundar mein jalan kaisi hai | Shaahi Shayari
meri aankhon ke samundar mein jalan kaisi hai

Ghazal

Meri aankhon ke samundar mein jalan kaisi hai

Wasi Shah

;

meri aankhon ke samundar mein jalan kaisi hai
aaj phir dil ko taDapne ki lagan kaisi hai

ab kisi chhat pe charaghon ki qataren bhi nahin
ab tere shahr ki galiyon mein ghuTan kaisi hai

barf ke rup mein Dhal jaenge sare rishte
mujh se puchho ki mohabbat ki agan kaisi hai

main tere wasl ki KHwahish ko na marne dunga
mausam-e-hijr ke lahje mein thakan kaisi hai

regzaron mein jo banti rahi kanTon ki rida
is ki majbur si aankhon mein karan kaisi hai

mujhe masum si laDki pe taras aata hai
use dekho to mohabbat mein magan kaisi hai