اردو हिंदी
Mere nalon se tah-o-baala hui aksar zamin | Shaahi Shayari
mere nalon se tah-o-baala hui aksar zamin

Ghazal

Mere nalon se tah-o-baala hui aksar zamin

Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

;

mere nalon se tah-o-baala hui aksar zamin
zer-e-pa aaya falak aur barha sar par zamin

hai dayar-e-mah-ru ka bas yahi qasid nishan
aasman tujh ko nazar aaegi wan ki sar-zamin

kis taraf jaun ki ho in do balaon se najat
aasman ghar ghar yahi hai aur yahi ghar ghar zamin

bari bari ye mujhe pisen ba-rang-e-asiya
aasman din bhar rahe gardish mein to shab-bhar zamin

misl-e-KHurshid aasman jalta hai aah-e-garm se
kanpti hai ThanDi sanson se meri thar-thar zamin

jis jagah hain dafn qatil teri mizhgan ke shahid
wan ewaz sabzi ke paida karti hai nashtar zamin

saikDon is mein gae mahbub ja-e-rashk hai
rakhti hai aaghosh mein kya kya pari-paikar zamin

aatish-e-furqat se aalam kora-e-atish hua
aasman hai dud hum aKHgar mein aur mujmar zamin

ishq-e-KHal-e-yar ne aisa kiya zar-o-nahif
baiThe rahne ko mere kafi hai ab til bhar zamin