mere liye wajud ka dariya sarab tha
nakaamiyon ke bab mein main kaamyab tha
baKHshe hain mujh ko phul mohabbat ki aag ne
mere liye sukun ka sabab iztirab tha
main ne safed lafz likhe aur sach likhe
meri sadaqaton ka bayan be-KHizab tha
isyan shumar the jo farishte wo thak gae
ek fard-e-sad-gunah se main be-hisab tha
kya mujh se intiKHab ki karta hai aarzu
main to nigah-e-sher ka KHud intiKHab tha
hijr-o-visal KHatm hue Thik hai ye khel
tujh ko bhi nagawar mujhe bhi azab tha
be-dagh kah raha hai jo apne jamal ko
kal shab meri baghal mein yahi aaftab tha
meri kitab rasm-e-jahan hai wagarna main
wo sahib-e-kitab hun jo be-kitab tha
'sahba' mere wajud pe har mai-kade se dur
chhaya tha wo surur ki pani sharab tha

Ghazal
Mere liye wajud ka dariya sarab tha
Sahba Akhtar