اردو हिंदी
Mere liye to harf-e-dua ho gaya wo shaKHs | Shaahi Shayari
mere liye to harf-e-dua ho gaya wo shaKHs

Ghazal

Mere liye to harf-e-dua ho gaya wo shaKHs

Rasheed Qaisrani

;

mere liye to harf-e-dua ho gaya wo shaKHs
sare dukhon ki jaise dawa ho gaya wo shaKHs

main aasman pe tha to zamin ki kashish tha wo
utra zamin par to hawa ho gaya wo shaKHs

sochun bhi ab use to taKHayyul ke par jalen
mujh se juda hua to KHuda ho gaya wo shaKHs

sab ashk pi gaya mere andar ka aadmi
main KHushk ho gaya hun hara ho gaya wo shaKHs

main us ka hath dekh raha tha ki dafatan
simTa simaT ke rang-e-hina ho gaya wo shaKHs

yun bhi nahin ki pas hai mere wo ham-nafas
ye bhi ghalat ki mujh se juda ho gaya wo shaKHs

paDhta tha main namaz samajh kar use 'rashid'
phir yun hua ki mujh se qaza ho gaya wo shaKHs